Monday, 27 March 2017

Kaunsi Bus? Kaunsi Train?

Jab aaya tha Delhi
Pheli baar ,
Yeh soch k aaya tha
Agar woh Bus station pe na aayi
Toh pakkad lunga woh agli bus
Ghar ko wapis

Magar tum agayi thi
Gulab hath meh liye

Kuch dafah aur yeh silsila
Chalta raha
Har baar meh sochta
Agar nahi aayi woh
Toh yeh train pakkadunga
Kabhi woh bus

Phir kuch samay meh muje
Tumhare ghar ka rasta yaad ho gaya
Ab km rehti thi yeh soch
Ki nahi aayi toh kya karunga
Mahine beete phir beete saal
Tumhare nahi aane ka darr
Kuch khatam sa hogaya
Ab jab hum sath nahi hai


Ab jab kabhi phone karta hu
Toh sochta hu
K nahi uttayigi toh kya karunga?
Kaunsi bus pakkdunga
Kaunsi train dudunga?

No comments:

Post a Comment