Monday, 27 March 2017

Kaise-kya

Jab meh shuru karta hu meh
Mere pass koi theme nahi hoti
Hoti hai toh ek kujli
Hoti hai toh ek pheli
Jis k baare meh sochne k liye
Keyboard meh kuch kuch type karta hu meh
Poety ka toh kuch bhi pata nahi
Shayad jo likhta hu
Woh koi pada likka keh de
Ki yeh
Yeh toh poety hai bhi nahi
Magar apna kam chal jata hai
Khatam hone tak poetry
Ek sukkun sa mill jata hai
Mil jata hai kuch jawab
ya phir koi aur bada sawal
Jis k samne apna sawal ko jata
Apna kam hojata hai.. _/\_

No comments:

Post a Comment